tazkire mein tere ek nam ko yun joD diya
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diya
zindagi nikli thi har gham ka mudawa karne
chand chehron ne KHayalat ka ruKH moD diya
ab to aa jaen mujhe chhoD ke jaane wale
main ne KHwabon ke darichon ko khula chhoD diya
qadr-dan qimat-e-bazar se aage na baDhe
fan ki dahliz pe fankar ne dam toD diya
us chaman mein bhi tumhein chain mayassar na hua
jis chaman ke liye tum ne ye chaman chhoD diya
yun to ruswa-e-zamana sahi lekin us ne
mere sath aa ke nae daur ka ruKH moD diya
main musafir nahin aawara-e-manzil hun 'bashir'
gardish-e-waqt ne ye dekh ke dam toD diya
Ghazal
Tazkire mein tere ek nam ko yun joD diya
Bashir Farooqi