tazin-e-bazm-e-gham ke liye koi shai to ho
raushan charagh-e-dil na sahi jam-e-mai to ho
hum to rahin-e-rishta-e-be-gangi rahe
sare jahan se teri mulaqat hai to ho
gham bhi mujhe qubul hai lekin ba-qadr-e-shauq
dil ka nasib dard sahi pai-ba-pai to ho
fariyaad ek shor hai aahang ke baghair
nala mata-e-dard sahi koi lai to ho
ye kya ki ahl-e-shauq na apne na aap ke
ya maut ya hayat koi baat tai to ho
hai dur husn-e-silsila-e-zer-o-bam ki baat
pahle gudaz-e-sina saza-war-e-nai to ho
har-chand do qadam hi sahi manzil-e-murad
ye muKHtasar si rah magar 'hosh' tai to ho
Ghazal
Tazin-e-bazm-e-gham ke liye koi shai to ho
Hosh Tirmizi