اردو हिंदी
Taur apna hai alag in se alag aan se alag | Shaahi Shayari
taur apna hai alag in se alag aan se alag

Ghazal

Taur apna hai alag in se alag aan se alag

Syed Jameel Madni

;

taur apna hai alag in se alag aan se alag
go kisi taur nahin hikmat-e-yazdan se alag

zist ek aur bhi hai qaid-e-rag-e-jaan se alag
subh-e-taban se juda sham-e-ghariban se alag

zulmat-e-shab ki tarah nur-e-shabistan se alag
gham-e-dauran se alag ishq-e-nigaran se alag

gar tere waste dil dhaDke to zinda tu hai
dil ki aawaz hai aawaz-e-pareshan se alag

jab kabhi fikr mera ramz-e-ana se uljha
aalam ek aur bana aalam-e-imkan se alag

umr yun hum ne guzari hai zamane mein 'jamil'
na ram-e-zist mein shamil na gham-e-jaan se alag