tauqir andheron ki baDha di gai shayad
ek shama jo raushan thi bujha di gai shayad
phir dar-badari hone lagi us ka muqaddar
phir shauq ke shoalon ko hawa di gai shayad
mauhum nazar aata hai ab josh-e-mulaqat
kuchh garmi-e-ehsas ghaTa di gai shayad
is bar bhi shoalon ne macha Dali tabahi
is bar bhi shoalon ko hawa di gai shayad
Tiktin nahin duniya-e-haqiqat pe nigahen
KHwabon ki koi bazm saja di gai shayad
aa Thahri thi jo zabt ke asrar se bach kar
aankhon se wahi bund gira di gai shayad
qatil ko biThaya gaya sar par mere hote
mujh ko meri auqat bata di gai shayad
Ghazal
Tauqir andheron ki baDha di gai shayad
Ehteram Islam