TaTolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha
wo aadmi jo meri dastan tak pahuncha
kisi janam mein jo mera nishan mila tha use
pata nahin ki wo kab us nishan tak pahuncha
main sirf ek KHala thi, jahan faza na hawa
jab aarzu ka parinda uDan tak pahuncha
na jaane rah mein kya us pe hadsa guzra
ki umr bhar na nazar se zaban tak pahuncha
ye kam-nasib bhaTakta hua andheron mein
kabhi yaqin kabhi phir guman tak pahuncha
wo jis mein hadd-e-nazar tak charagh jalte the
wo rasta hi faqat darmiyan tak pahuncha
Ghazal
TaTolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha
Aziz Bano Darab Wafa