taswir meri hai aks tera tu aur nahin main aur nahin
kar ghaur tu apne dil mein zara tu aur nahin main aur nahin
tasbih ne jis dam faKHr kiya danon mein wahin Dore ko dikha
zunnar ne is rishte se kaha tu aur nahin main aur nahin
is bagh mein tu ai barg-e-hina hansne pe mere zaKHmon ke na ja
rone mein lahu KHandan hon kya tu aur nahin main aur nahin
har ek jawahir besh-baha chamka to ye patthar kahne laga
jo sang tera wo sang mera tu aur nahin main aur nahin
ai 'shad' mera putla jo bana mil aatish-o-KHak-o-ab-o-hawa
har chaar anasir ne ye kaha tu aur nahin main aur nahin
Ghazal
Taswir meri hai aks tera tu aur nahin main aur nahin
Shad Lakhnavi

