taswir mein rang bhar rahe hain
milne ka irada kar rahe hain
KHushiyan hi nahin thin sath mere
gham bhi mere ham-safar rahe hain
aankhen to khuli hui thin phir bhi
har baat se be-KHabar rahe hain
koi rahat mili na ahl-e-fan ko
aaram se be-hunar rahe hain
baqi nahin dil mein shauq-e-parwaz
muddat se be-baal-o-par rahe hain
urdu si zaban pe kuchh muKHalif
har samt se war kar rahe hain
ek umr se ahl-e-dil ke Dere
talwar ki dhaar par rahe hain
mushtaq to ja chuke hain 'kausar'
ab kis liye ban-sanwar rahe hain

Ghazal
Taswir mein rang bhar rahe hain
Maher Chand Kausar