taswir-e-iztirab sarapa bana hua
phirta hun shahr shahr unhen DhunDhta hua
ek dard aur wo bhi kisi ka diya hua
itna baDha ki aap hi apni dawa hua
mil kar bichhaD gaya tha koi jis maqam par
ab tak usi maqam pe hun chup khaDa hua
jaise use KHabar thi mere haal-e-zar ki
guzra wo is ada se mujhe dekhta hua
jin hadsat-e-dahr se bach kar chala tha main
har gam par unhin ka mujhe samna hua
yun be-dili ke sath suna hum ne 'kazmi'
jaise tha kuchh fasana-e-hasti suna hua
Ghazal
Taswir-e-iztirab sarapa bana hua
Shafqat Kazmi