اردو हिंदी
Taskin-e-dil ka ye kya qarina | Shaahi Shayari
taskin-e-dil ka ye kya qarina

Ghazal

Taskin-e-dil ka ye kya qarina

Arzoo Lakhnavi

;

taskin-e-dil ka ye kya qarina
rokun jo nala phaT jae sina

baDhti umangen kya par banengi
hai kis hawa mein dil ka safina

hain kya muamma ye aag pani
pita hun aansu jalta hai sina

gham tujh ko pyara tu mujh ko pyari
dil ki tamanna nazuk hasina

aaj us ne aansu hans hans ke ponchhe
KHushki mein ubhra Duba safina

tariKH dil ki KHud naqsh-e-dil hai
kha kha ke choTen chaTka nagina

TuTa hua dil ulfat bhara tha
Dha kar imarat paya dafina

hadd-e-KHirad se zat us ki bartar
unchi hai manzil nicha hai zina

tum 'arzu' ho tum 'arzu' ho
phir kaisi ranjish phir kaisa kina