taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae
is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae taDpa bhi gae
hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae
aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae
rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte
ek harf na nikla honTon se aur aankh mein aansu aa bhi gae
arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri
aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae
ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi
mahfil to teri suni na hui kuchh uTh bhi gae kuchh aa bhi gae
is mahfil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irfani mein
sab jam-ba-kaf baiThe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae
Ghazal
Taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae
Asrar-ul-Haq Majaz