tashrif shab-e-wada jo wo lae hue hain
sar KHam hai nazar nichi hai sharmae hue hain
ruKH par jo siyah-zulf ko ko bikhrae hue hain
wo chaudhwin ke chand hain gahnae hue hain
phulon se siwa hai badan-e-pak mein KHushbu
kab itr lagane se wo itrae hue hain
hammam mein jaane ke liye kya kahiye koi
wo to araq-e-sharm mein nahlae hue hain
Ghazal
Tashrif shab-e-wada jo wo lae hue hain
Nadir Lakhnavi