tashkil badar ki hai kabhi hai hilal ki
duniya hai ek shabih uruj-o-zawal ki
phulon se hai ladi hui har shaKH-e-gulsitan
rakh li KHuda ne aabru dast-e-zawal ki
jannat-farosh huron ke dallal KHirqa-posh
kya puchhte ho waiz-e-farKHanda-fal ki
in mah-washon ko parde se bahar nikal ke
duniya miTai jati hai husn-o-jamal ki
mujh ko mila hai wo dil be-muddaa 'sarir'
jis ko gham-e-firaq na hasrat visal ki

Ghazal
Tashkil badar ki hai kabhi hai hilal ki
Sareer Kabiri