اردو हिंदी
Tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast | Shaahi Shayari
tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast

Ghazal

Tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast

Javed Saba

;

tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast
qibla bhi mast mast hai kaba bhi mast mast

qatra bhi apni mauj mein dajla bhi mauj mein
dariya bhi mast mast hai sahra bhi mast mast

KHurshid o mahtab bhi zarra bhi be-dimagh
adna o past o arfa o aala bhi mast mast

mera wajud aur wajud-e-adam bhi mast
pinhan bhi mast mast hai paida bhi mast mast

aaina aks aur pas-e-aina bhi mast
poshida mast-e-KHwab huwaida bhi mast mast

aali janab qibla-o-kaba huzur-e-man
main hi nahin hun qibla-o-kaba bhi mast mast

saghar surahi jam pyala bhi mast mast
saqi bhi mast mast hai sahba bhi mast mast

yaKH-bastagi bhi mast hai aur aah-e-sard bhi
chingari aag aag ka shola bhi mast mast

ai be-KHudi salam tujhe tera shukriya
duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast

kuchh teri madh bhari hui aankhen bhi mast hain
kuchh un ke sath sath zamana bhi mast mast