tasbih-e-qumri sarw-e-sanobar sameT lo
jaana hai is dayar se manzar sameT lo
parwaz-e-kaamyabi ki bas itni shart hai
chahat hisar-e-nafas ke andar sameT lo
us ashk ki taDap ke muqabil mein kuchh nahin
ab chahe chashm-e-nam mein samundar sameT lo
taqat pe pahle apni to raazi KHuda karo
phir bazuon mein tum dar-e-KHaibar sameT lo
mera makan nahin hai KHata-bin ke waste
aao magar mizaj ko bahar sameT lo
'azhar' ye daur-e-aish hai yan jine ke liye
aazurda zehn aur dil-e-muztar sameT lo
Ghazal
Tasbih-e-qumri sarw-e-sanobar sameT lo
Azhar Hashmi