tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe
bahut shadid tawajjoh ka samna tha mujhe
chamak raha tha main suraj ke misl is liye dost
kahin pe ja ke andhere mein Dubna tha mujhe
mujhe wahan se udasi bula rahi thi aaj
jahan se sham-o-sahar koi dekhta tha mujhe
phir us ko ja ke batana paDa ghalat hai ye
samajhne wale ne kya kya samajh rakha tha mujhe
guzar na paya tha jo 'jaun-elia' se bhi
tumhaare baad wo lamha guzarna tha mujhe
lahuluhan hue ja rahe the har manzar
kisi ne waqt ke mathe pe yun likha tha mujhe
main apni nind agar TuTne nahin deta
us ek KHwab se har waqt TuTna tha mujhe
Ghazal
Tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe
inaam azmi