tasawwur teri surat ka mujhe har shab satata hai
kabhu pas aae hai mere kabhu phir bhag jata hai
KHuda jaane tujhe us ki KHabar hai ya nahin zalim
ki wo ek aan mein kya kya samayn mujh ko dikhata hai
balaen us ki main leta hun chaT chaT uTh ke jis saat
meri chaalakiyon ko dekhe hai aur muskuraata hai
jo uThta hun to kahta hai kidhar jata hai idhar aa
jo baiThun hun to kahta hai ki main jata hun aata hai
jo rota hun to kahta hai tu kyun rota hai diwane
jo sar zanu pe rakhta hun to hathon se uThata hai
jo jagun hun to kahta hai kahin ab so bhi rah nadan
jo sota hun to chuTki le ke ek dil mein jagata hai
kabhi ho jae hai ghaeb nazar se baat ke kahte
kabhi phir samne ho kar khaDa baaten banata hai
kabhi dikhlae hai pinDe ka lutf aur gat ka aalam
kabhi nazdik aa baalon ki apne bu sunghata hai
gharaz ai 'mushafi' main kya kahun shab-ta-sahar yu hain
na us ko chain aata hai na mujh ko chain aata hai
Ghazal
Tasawwur teri surat ka mujhe har shab satata hai
Mushafi Ghulam Hamdani