tasawwur se kisi ke main ne ki hai guftugu barson
rahi hai ek taswir-e-KHyali ru-ba-ru barson
hua mehman aa kar raat bhar wo shama-ru barson
raha raushan mere ghar ka charagh-e-arzu barson
barabar jaan ke rakkha hai us ko marte marte tak
hamari qabr par roya karegi aarzu barson
chaman mein ja ke bhule se main KHasta-dil karaha tha
kiya ki gul se bulbul shikwa-e-dard-e-gulu barson
agar main KHak bhi hunga to 'atish' gard-baad-asa
rakhegi mujh ko sar-gashta kisi ki justuju barson
Ghazal
Tasawwur se kisi ke maine ki hai guftugu barson
Haidar Ali Aatish

