tasawwur pyar ka jo hai purana karne wala hun
main apni aap-biti ko fasana karne wala hun
jahan pe sirf wo thi aur main tha aur KHushbu thi
usi jhurmaT ko apna aashiyana karne wala hun
jise main chahta hun wo kahin ki shahzadi hai
so us ke waste KHud ko shahana karne wala hun
udasi dekh aai hai makan shahr-e-mohabbat mein
jahan main sham ko ja kar bayana karne wala hun
mujhe malum hai wo kya shikayat karne wali hai
use malum hai main kya bahana karne wala hun
teri aankhon teri zulfon tere honThon se wabasta
kai arman hain jin ko siyana karne wala hun
use jo aql-mandi ki baDi baaten batate hain
unhin logon ko ab apna diwana karne wala hun
'charagh' ab kaun si majburiyan hain jo andhera hai
tumhin kahte the ki raushan zamana karne wala hun
Ghazal
Tasawwur pyar ka jo hai purana karne wala hun
Ayush Charag