اردو हिंदी
Tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun | Shaahi Shayari
tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun

Ghazal

Tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun

Ali Muzammil

;

tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se Darta hun
ata-e-kashf ke itmam ho jaane se Darta hun

zamin-o-arsh ke baham talluq ke tanazur mein
zamin-o-arsh ka idgham ho jaane se Darta hun

kabhi sab kar guzarne ka junun bechain rakhta hai
kabhi yun bhi hua sab kaam ho jaane se Darta hun

mohabbat irtibaat-e-qalb se mashrut hoti hai
yaqin-o-rabt ke ibham ho jaane se Darta hun

kahan mujh ko mayassar misr ka bazar aaega
KHud apni zat mein nilam ho jaane se Darta hun

'ali' bahr-e-mohabbat ka shanawar hun KHuda shahid
wafa ke nam pe ilzam ho jaane se Darta hun