اردو हिंदी
Tasawwur mein jamal-e-ru-e-taban le ke chalta hun | Shaahi Shayari
tasawwur mein jamal-e-ru-e-taban le ke chalta hun

Ghazal

Tasawwur mein jamal-e-ru-e-taban le ke chalta hun

Fitrat Ansari

;

tasawwur mein jamal-e-ru-e-taban le ke chalta hun
andheri rah mein sham-e-farozan le ke chalta hun

shikasta-dil hujum-e-yas-o-hirman le ke chalta hun
huzur-e-husn main ye saz-o-saman le ke chalta hun

unhen shayad yaqin aa jae ab meri mohabbat ka
main un ke ru-ba-ru chaak-e-gareban le ke chalta hun

tumhaari yaad har ek gam par mujh ko rulati hai
agar dil mein kabhi jine ka arman le ke chalta hun

Tapakta hai lahu ehsas ke rangin darichon se
main apne dil mein jab yaad-e-shahidan le ke chalta hun

use shayad meri masumiyat par rahm aa jae
KHuda ke samne main fard-e-isyan le ke chalta hun

mujhe bhi apne ehsas-e-wafa ko aazmana hai
ba-zoam-e-ishq afkar-e-pareshan le ke chalta hun

meri KHuddar 'fitrat' ki KHuda hi aabru rakkhe
KHizan ke daur mein azm-e-bahaaran le ke chalta hun