tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham KHatm ki main ne
jahan dil ki KHalish ubhri tumhein aawaz di main ne
talab ki rah mein kha kar shikast-e-agahi main ne
junun ki kaamyabi par mubarakbaad di main ne
dam-e-aKHir bahut achchha kiya tashrif le aae
salam-e-ruKHsatana ko pukara tha abhi main ne
zaban se jab na kuchh yara-e-sharh-e-arzu paya
nigahon se huzur-e-husn aksar baat ki main ne
nasheman ko bhi ek partaw qafas ka jaan kar 'anwar'
basa-auqat ki hai bijliyon ki rahbari main ne
Ghazal
Tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham KHatm ki maine
Anwar Sabri