اردو हिंदी
Tasalsul se guman likkha gaya hai | Shaahi Shayari
tasalsul se guman likkha gaya hai

Ghazal

Tasalsul se guman likkha gaya hai

Daniyal Tareer

;

tasalsul se guman likkha gaya hai
yaqin to na-gahan likkha gaya hai

mukammal ho chuki qir,at faza ki
parinde aur dhuan likkha gaya hai

mera do pal Thahar kar sans lena
sar-e-ab-e-rawan likkha gaya hai

ugaegi sitare ab ye miTTi
zamin par aasman likha gaya hai

kitab-e-ghaib paDhta ja raha hun
mera hona kahan likkha gaya hai

nahin likkha gaya kaghaz pe kuchh bhi
faqat aaindagan likkha gaya hai