اردو हिंदी
Tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai | Shaahi Shayari
tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai

Ghazal

Tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai

Ghubaar Bhatti

;

tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai
gulistan se magar uDta dhuan kuchh aur kahta hai

baham kuchh sazishen phir ho rahi hain barq-o-baran mein
har ek tair se lekin aashiyan kuchh aur kahta hai

samajhte hain KHuda-malum kya kuchh karwan wale
zaban mein apni mir-e-karwan kuchh aur kahta hai

na phulo is tarah se naghma-e-murgh-e-KHush-ilhan par
tumhein aawaza-e-bang-e-azan kuchh aur kahta hai

magar mahrum zahid ho gaya hai gosh-e-shanwa se
use but-KHane mein husn-e-butan kuchh aur kahta hai

ye KHush-fahmi ki kuchh samjhe hue hain anjuman wale
magar har ek se rang-e-dastan kuchh aur kahta hai

Thahar ja han Thahar ja jaane wale is ko sunta ja
ba-haal-e-naza tera nim-jaan kuchh aur kahta hai

muKHalif us ke kuchh kuchh aa rahi hain dil ki aawazen
magar hum se hijab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai

na rahna chahiye gulshan mein marub-e-KHizan ho kar
ki hum se aaj rang-e-gulistan kuchh aur kahta hai