tarwar khinch hum ko dikhate ho jab na tab
kya mar rahe jawan ko satate ho jab na tab
taqsir hum se kaun si aisi hui wuqua
munh par jo hath mere dhiraate ho jab na tab
az-bas mizaj hum se tumhaara kashida hai
aazurda baat mein hue jate ho jab na tab
ab to rakha hai kaT hamara ye aap ne
ghairon se mil patang uDate ho jab na tab
ek baat ka hamari batangaD banate ho
sau jhuT sach ko apne chhupate ho jab na tab
ai waizo ye kya tumhein bakwas lag gai
meri suno tum apni hi gate ho jab na tab
hum dard-e-dil kahen to jawab is maze se do
qissa 'muhib' ye kis ko sunate ho jab na tab
Ghazal
Tarwar khinch hum ko dikhate ho jab na tab
Waliullah Muhib