اردو हिंदी
Tarsa na mujhko khinch ke talwar mar Dal | Shaahi Shayari
tarsa na mujhko khinch ke talwar mar Dal

Ghazal

Tarsa na mujhko khinch ke talwar mar Dal

Mushafi Ghulam Hamdani

;

tarsa na mujh ko khinch ke talwar mar Dal
gar mar Dalna hai to yak-bar mar Dal

aashiq jo teri zulf ka ho us ko tu sanam
le ja ke tira-shab pas-e-diwar mar Dal

kubk-e-dari ke lakh qafas hon jahan dhare
dikhla ke un ko shoKHi-e-raftar mar Dal

kuchh hum ne tere hath to pakDe nahin miyan
gar jaanta hai hum ko gunahgar mar Dal

sayyaad tujh ko kis ne kaha tha ki fasl-e-gul
mujh ko qafas mein kar ke giraftar mar Dal

jo jaan-ba-lab ho hasrat-e-didar mein teri
dikhla ke us ko jalwa-e-ruKHsar mar Dal

saudaidan-e-ishq ka jhagDa chuka kahin
le ja ke un ko barsar-e-bazar mar Dal

tegh o kamand mang kar abru o zulf se
aashiq bahut hue hain jafa-kar mar Dal

gar ye bhi ho sake na to kahta hai 'mushafi'
do chaar kar le qaid mein do-chaar mar Dal