tark shauq-e-sharab kya karte
zindagi ko KHarab kya karte
jabr zauq-e-nazar pe karte rahe
husn ko be-hijab kya karte
jab thi badli hui nazar un ki
phir sawal-o-jawab kya karte
hai ba-har-shakl ek hi jalwa
hum koi intiKHab kya karte
gar basate na ja ke virana
aur KHana-KHarab kya karte
baat ka ruKH badal diya aaKHir
hum unhen la-jawab kya karte
dil tha ehsas-mund pahlu mein
husn se ijtinab kya karte
zehniyat apni jo badal na saken
'ashk' wo inqalab kya karte

Ghazal
Tark shauq-e-sharab kya karte
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali