اردو हिंदी
Tark KHwahish-e-zar kar kimiya-gari ye hai | Shaahi Shayari
tark KHwahish-e-zar kar kimiya-gari ye hai

Ghazal

Tark KHwahish-e-zar kar kimiya-gari ye hai

Ishq Aurangabadi

;

tark KHwahish-e-zar kar kimiya-gari ye hai
dil mein rakh KHayal-e-dost shisha-o-pari ye hai

dekh ho gai nargis bagh mein tujhe hairan
shoKH-chashm jadugar teri sahiri ye hai

zulf teri afsun-gar chashm teri pur-jadu
wo hai sehr-e-bangala sehr-e-samri ye hai

mere aah bharne par shab ko tu jo hansta hai
wo ajab hawai hai zor-e-phuljhaDi ye hai

sal tab the pal jaise aan ab qaran si hai
wasl ke baras wo the hijr ki ghaDi ye hai

mah-ru ke kanon mein goshware raKHshan hain
dekh 'ishq' wo zohra aur mushtari ye hai