tark jis din se kiya hum ne shakebai ka
ja-ba-ja shahr mein charcha hua ruswai ka
ghair dagh-e-dil-e-sad-chaak na monis na rafiq
zor aalam pe hai aalam meri tanhai ka
pahron hi apne tain aap hun bhula rahta
dhyan aata hai jab apne mujhe harjai ka
zalzala gor mein majnun ki paDa rahta hai
apna ye shor hai ab baadiya-paimai ka
jalwa us ka hai har ek ghar mein basan-e-KHurshid
farq hai apni faqat aah ye binai ka
kalma-e-haq bhi dam-e-naza na nikla munh se
shaiKH ko dhyan tha aisa but-e-tarsai ka
kashish-e-nala use kahte hain ab wo jo 'surur'
mahw-e-nazzara hua apne tamashai ka
Ghazal
Tark jis din se kiya humne shakebai ka
Rajab Ali Beg Suroor