اردو हिंदी
Tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai | Shaahi Shayari
tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai

Ghazal

Tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai

Miyan dad Khan Sayyah

;

tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai
hum ko moharram aur raqibon ko id hai

shayad hamare qaul pe hablul-warid hai
hum se KHuda qarib hai kaba baid hai

guzra mah-siyam na kyun panja-e-sharab
KHali ka chand ye nahin hai mah-e-id hai

shughl apna baada-KHwari hai aur tak silsila
pir-e-mughan bhi ek hamara murid hai

dil le chuke hain jaan bhi ab mangte hain wo
baiThe hain bigDe aur taqaza shadid hai

chal khol qufl aabla-e-pa ke ai junun
har ek zaban-e-KHar bayaban kalid hai

wahshat mein pairahan ki uDin dhajjiyan tamam
tan par qaba-e-dagh hai so nau-KHarid hai

sunta hun roz-e-hashr na hogi use najat
jo sayyadon se bughz rakhe wo yazid hai

aisa maza bhara hai tabiat mein faqr ka
ganj-e-shakar hai sina mera dil farid hai

'sayyah'-e-be-nawa hun jahan-gard hai laqab
gardish mein charKH-e-pir bhi mera murid hai