اردو हिंदी
Tark-e-wafa garche sadaqat nahin | Shaahi Shayari
tark-e-wafa garche sadaqat nahin

Ghazal

Tark-e-wafa garche sadaqat nahin

Qayem Chandpuri

;

tark-e-wafa garche sadaqat nahin
par ye sitam sahne ki taqat nahin

tark kar apna bhi ki is rah mein
har koi shayan-e-rifaqat nahin

koi dawa mujh se ki karta hai lek
ab ke tabibon mein hazaqat nahin

kasb-e-hunar kar na ki is waqt mein
is se baDi aur himaqat nahin

nam hi 'qaem' ka gaya hai nikal
warna kuchh itni to liyaqat nahin