tark-e-ulfat ka kuchh KHayal bhi hai
yahi mumkin magar muhaal bhi hai
kya khule uqda-e-hayat-o-mamat
har jawab ek naya sawal bhi hai
warna kya shai ye gardish-e-aflak
is mein shamil kisi ki chaal bhi hai
kuchh mera dil bhi hai junun-asar
kuchh teri aankh ka kamal bhi hai
is mein jine ka bhi hazar imkan
is mein marne ka ehtimal bhi hai
dil bhi hai andarun-e-sina azab
sar sar-e-dosh ek wabaal bhi hai
har nazar suraton ka ek tilism
har qadam KHwahishon ka jal bhi hai
har KHabar inkishaf-e-be-KHabari
har nafas arsa-e-zawal bhi hai
tujh se duri bhi hai nashat-afza
teri qurbat mein ek malal bhi hai
surat-e-sabza aarzu-e-visal
sar-kashida bhi paemal bhi hai
kin tazadat mein ghira hun 'habib'
zindagi hijr bhi visal bhi hai

Ghazal
Tark-e-ulfat ka kuchh KHayal bhi hai
Qazi Habiburrahman