اردو हिंदी
Tark-e-ulfat ka irada bhi nahin | Shaahi Shayari
tark-e-ulfat ka irada bhi nahin

Ghazal

Tark-e-ulfat ka irada bhi nahin

Maher Chand Kausar

;

tark-e-ulfat ka irada bhi nahin
un se izhaar tamanna bhi nahin

waqt kaTta hi na tha jis ke baghair
us ko muddat hui dekha bhi nahin

jaisi guzri hai ghanimat hai magar
zindagi tera bharosa bhi nahin

dil mein rakhta hai bahut kuchh lekin
baat kahne ki wo kahta bhi nahin

KHub saj-dhaj hai tumhaari phir bhi
dekhna kaisa wo takta bhi nahin

ghur kar dekhta rahta hai mujhe
main ne us ko kabhi dekha bhi nahin

baaten karta hai musalsal 'kausar'
rose milta hai shanasa bhi nahin