tark-e-talluqat pe roya na tu na main
lekin ye kya ki chain se soya na tu na main
haalat ke tilism ne pathra diya magar
bite samon ki yaad mein khoya na tu na main
har chand iKHtilaf ke pahlu hazar the
wa kar saka magar lab-e-goya na tu na main
nauhe fasil-e-zabt se unche na ho sake
khul kar dayar-e-sang mein roya na tu na main
jab bhi nazar uThi to falak ki taraf uThi
bar-gashta aasman se goya na tu na main
Ghazal
Tark-e-talluqat pe roya na tu na main
Khalid Ahmad