tark-e-sitam pe wo jo qasam kha ke rah gae
arman dil mein arz-e-tamanna ke rah gae
tum kahte kahte hum se jo sharma ke rah gae
kya baat thi jo ta-ba zaban la ke rah gae
deta hai sath kaun kisi ka pas-e-fana
sab dost ta lahad mujhe pahuncha ke rah gae
ya main ne rah-e-ishq-o-wafa se gurez ki
ya ham-nafas mere mujhe samjha ke rah gae
achchha hua na un ka mariz-e-shab-e-firaq
sab mojaze janab-e-masiha ke rah gae
duniya se jaane walon ka koi pata nahin
ya rab mere ye log kahan ja ke rah gae
kya un se uTh sakengi mohabbat ki saKHtiyan
jo panw rah-e-ishq mein phaila ke rah gae
taqdir mein qafas ho to kya is se faeda
do din agar chaman ki hawa kha ke rah gae
phirte ho ai 'rashid' jo tum us ke sath sath
ban kar ghulam kya dil-e-shaida ke rah gae
Ghazal
Tark-e-sitam pe wo jo qasam kha ke rah gae
Rasheed Rampuri

