اردو हिंदी
Tark-e-jam-o-subu na kar pae | Shaahi Shayari
tark-e-jam-o-subu na kar pae

Ghazal

Tark-e-jam-o-subu na kar pae

Laiq Aajiz

;

tark-e-jam-o-subu na kar pae
is liye hum wazu na kar pae

waqt-e-aKHir bhi hazrat-e-naseh
apna munh qibla-ru na kar pae

us ki rahmat ke saeban mein tha
mera shak bhi adu na kar pae

maslahat ki khaDi thi jo diwar
dur us ko kabhu na kar pae

umr bhar dusron ki fikr rahi
apna daman rafu na kar pae

hae majburiyan ki us ke huzur
pesh apna lahu na kar pae

kar li kamre mein KHud-kushi 'ajiz'
us se jab guftugu na kar pae