tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin
shoala-e-gham bhi nahin mauj-e-tabassum bhi nahin
koi unwan koi surat nahin wajh-e-taskin
wahshat-e-dil ki dawa jaan-e-jahan tum bhi nahin
pa-ba-zanjir hui jati hai parwaz-e-KHayal
dil ki aawaz mein jazbon ka tarannum bhi nahin
phir ye kya shai hai jo rakhti hai hirasan shab-o-roz
bahr-e-ehsas ki maujon mein talatum bhi nahin

Ghazal
Tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin
Sajida Zaidi