tariq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistan na rahe 
meri bahaar ko andesha-e-KHizan na rahe 
ye aarzu hai badal jae rasm-e-shahr-e-wafa 
udas husn na ho ishq sar-garan na rahe 
payam-e-wasl se dil bagh bagh ho jaen 
labon pe shikwa-e-be-mehri-e-butan na rahe 
tulu-e-mehr baDe tuzk-o-ehtisham se ho 
ufuq siyahi-e-shab se dhuan dhuan na rahe 
samaaton pe musalsal ho naghmagi ka nuzul 
nazar mein zisht-manazir ka karwan na rahe 
masarraton ke pharere jahan mein lahraen 
gham-o-alam ke liye gosha-e-aman na rahe 
ba-ru-e-adl sabhi apna apna hissa len 
aur ehtimal-e-ghalat baKHshi-e-mughan na rahe
        Ghazal
Tariq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistan na rahe
Jafar Baluch

