tariq-e-ishq mein dekha hai kya kahen kyun-kar
hamari aankh khuli hai maqam-e-hairat mein
agar KHalal hai to zahid mere dimagh mein hai
hazar shukr nahin hai futur niyyat mein
buland o past ki us ke kuchh intiha hi nahin
ajib chiz hai insan bhi haqiqat mein
ye bazm-e-ghair hai 'kaifi' kidhar gae hain hawas
kahan tum aa gae kya aa gai tabiat mein
Ghazal
Tariq-e-ishq mein dekha hai kya kahen kyun-kar
Kaifi Hyderabadi