tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha
usi ka nam raha jis ka kuchh nishan na raha
kahin gulon mein kahin mehr-o-mah-o-anjum mein
nazar nazar ke liye wo kahan kahan na raha
liye the baDh ke qadam jis ke qurb-e-manzil ne
wo karwan na raha mir-e-karwan na raha
jinhon ne KHun se ki aabiyari-e-gulshan
unhin ka sehn-e-gulistan mein aashiyan na raha
ye saneha hai ki rahen to hain nai lekin
kisi usul pe dastur-e-karwan na raha
nazar-nawaz tha jab manzar-e-gul-o-ghuncha
chaman mein agli bahaaron ka wo saman na raha
wo din bhi the ki talluq tha ham-nawaon se
ye waqt bhi hai ki ab koi ham-zaban na raha
hamein bhi ab to ye harf-e-ghalat sa lagta hai
hamara nam ki jo zeb-e-dastan na raha
diya tha nam jise rah-o-rasm-e-ulfat ka
'rishi' wo mashghala-e-sai-e-raegan na raha
Ghazal
Tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha
Rishi Patialvi

