tari talash mein har rahnuma se baaten kin
KHala se rabt baDhaya hawa se baaten kin
kabhi sitaron ne bheja hamein koi paigham
to muddaton mein kisi aashna se baaten kin
hamari KHair manao ki aaj KHud us ne
baDe KHulus baDi iltija se baaten kin
gunah-gar to ramz-e-harim tak pahunche
sawab walon ne bang-e-dara se baaten kin
bahut se wo the jinhon ne buton se faiz uThae
bahut se wo the jinhon ne KHuda se baaten kin
na jaane kab se sunate the us ko hum ahwal
nazar uThai to phir ibtida se baaten kin
hazar sher kahe yun to kahne walon ne
kisi kisi ne dil-e-mubtala se baaten kin

Ghazal
Tari talash mein har rahnuma se baaten kin
Mustafa Zaidi