taras raha hun magar tu nazar na aa mujh ko
ki KHud juda hai tu mujh se na kar juda mujh ko
wo kapkapate hue honT mere shane par
wo KHwab sanp ki manind Das gaya mujh ko
chaTaKH uTha ho sulagti chaTan ki surat
pukar ab tu mere der-ashna mujh ko
tujhe tarash ke main saKHt munfail hun ki log
tujhe sanam to samajhne lage KHuda mujh ko
ye aur baat ki aksar damak uTha chehra
kabhi kabhi yahi shoala bujha gaya mujh ko
ye qurbaten hi to wajh-e-firaq Thahri hain
bahut aziz hain yaran-e-be-wafa mujh ko
sitam to ye hai ki zalim suKHan-shanas nahin
wo ek shaKHs ki shaer bana gaya mujh ko
use 'faraaz' agar dukh na tha bichhaDne ka
to kyun wo dur talak dekhta raha mujh ko
Ghazal
Taras raha hun magar tu nazar na aa mujhko
Ahmad Faraz