tarah tarah se mera dil baDhaya jata hai
magar kahe se kahin muskuraya jata hai
abhi main soch raha tha ki kuchh kahun tujh se
ki dekhta hun tera ghar sajaya jata hai
gunahgaron mein baiThe to inkishaf hua
KHuda se ab bhi bahut KHauf khaya jata hai
nae nae wo adakar jaante hi na the
ki parda girte hi sab bhul jaya jata hai
tawaqquat ka yun bhi KHayal rakhta hun
baDe yaqin se mujhe aazmaya jata hai
tamam umr milai junun ki tal se tal
ye git sab se kahan gungunaya jata hai
ab is tarah ki mohabbat kabhi na ho shayad
ki darmiyan mein kahin jism aaya jata hai
samajh mein aae na aae ye kuchh hua hai zarur
yaqin jo tujh pe mera Dagmagaya jata hai

Ghazal
Tarah tarah se mera dil baDhaya jata hai
Shariq Kaifi