اردو हिंदी
Tarah ole ki jo KHilqat mein hum aabi hote | Shaahi Shayari
tarah ole ki jo KHilqat mein hum aabi hote

Ghazal

Tarah ole ki jo KHilqat mein hum aabi hote

Mushafi Ghulam Hamdani

;

tarah ole ki jo KHilqat mein hum aabi hote
apne hi waste buniyaad-e-KHarabi hote

wo jo sote hain faraghat se unhon ke sine
kash yak-shab hadaf-e-tir-e-shahabi hote

mai na pite kabhi gulzar mein hum yar baghair
phul shabbu ke jo yak-dast gulabi hote

dil se gard-e-gham-e-kaunain to dhoi jati
kash hum kushta-e-shamshir-e-do-nabi hote

gar samajhte wo kabhi mani-e-matn-e-quran
chehre sharrah ke hargiz na kitabi hote

umr ke faut ka hum marsiya paDhte jo kabhu
aan kar KHizr o masih apne jawabi hote

apni qismat mein to mahrumi-e-jawed thi aah
warna hum shefta-e-ru-e-naqabi hote

ru-kashi karne ko hum bahr se jate majnun
aable pa-e-junun ke jo hababi hote

aatish-e-dil hi farozan na hui warna hamein
alif-e-tegh-e-butan siKH-kababi hote

hum ko dushwar tha phir ru-e-zamin par rahna
kaukab-e-baKHt hamare jo shahabi hote

ku-e-ushshaq se guzra na wo kafir warna
log raste ke ba-taqlid sharabi hote

mah hi bas hai hamein go ki na howe KHurshid
murda kyun DhunDte firni ki rakabi hote

nim-rang us ki hina dekh na marte gar hum
phul turbat ke hamare na gulabi hote

'mushafi' nala KHamoshi se kiya main ne badal
ta-kuja tar-e-nafas tar-e-rababi hote