tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri
dil-e-zinda mere marhum armanon pe kya guzri
zamin ne KHun ugla aasman ne aag barsai
jab insanon ke din badle to insanon pe kya guzri
hamein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi
unhen ye gham ki un se chhuT ke diwanon pe kya guzri
mera ilhad to KHair ek lanat tha so hai ab tak
magar is aalam-e-wahshat mein imanon pe kya guzri
ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jata
siyah-KHanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri
chalo wo kufr ke ghar se salamat aa gae lekin
KHuda ki mumlikat mein soKHta-jaanon pe kya guzri
Ghazal
Tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri
Sahir Ludhianvi