اردو हिंदी
Tarab ka rang ruKH-e-gul pe aashkar aaya | Shaahi Shayari
tarab ka rang ruKH-e-gul pe aashkar aaya

Ghazal

Tarab ka rang ruKH-e-gul pe aashkar aaya

Miyan Haji Tajalli

;

tarab ka rang ruKH-e-gul pe aashkar aaya
kali si khil gai junhi wo gul-ezar aaya

taDap ke jaan nikal jaegi abhi sayyaad
na kahiyo bagh mein phir mausam-e-bahaar aaya

mila main KHak mein mar mar ke aah par to bhi
na be-qarari-e-dil ke tain qarar aaya

meri wafa pe tujhe rose shak tha ai zalim
ye sar ye tegh hai le ab to e'tibar aaya

ye shauq dekho pas-e-marg bhi 'tajalli' ne
kafan mein khol din aankhen suna jo yar aaya