tarab-afrin hai kitna sar-e-sham ye nazara
tere honT par shafaq hai meri aankh mein sitara
kiya main ne jab kisi ke ruKH-o-zulf se kinara
kabhi subh ne sada di kabhi sham ne pukara
gul-o-ghuncha asl mein hain teri guftugu ki shaklen
kabhi khul ke baat kah di kabhi kar diya ishaara
tera nam le ke jage tujhe yaad kar ke soe
yun hi sari umr kaTi yun hi kar liya guzara
tujhe baghban hai KHatra usi barq ki chamak se
kabhi tu ne ye na socha ki hai gul bhi ek sharara
ye adam wajud kya hai tera naz hai musawwir
kisi naqsh ko miTaya kisi naqsh ko ubhaara
bhala hum 'salam' aaKHir na asir honge kab tak
ki jahan hai dam un ka wahin aashiyan hamara
Ghazal
Tarab-afrin hai kitna sar-e-sham ye nazara
Salam Sandelvi