tarash kar mere bazu uDan chhoD gaya
hawa ke pas barahna kaman chhoD gaya
rafaqaton ka meri us ko dhyan kitna tha
zamin le li magar aasman chhoD gaya
ajib shaKHs tha barish ka rang dekh ke bhi
khule dariche pe ek pul-dan chhoD gaya
jo baadalon se bhi mujh ko chhupae rakhta tha
baDhi hai dhup to be-saeban chhoD gaya
nikal gaya kahin an-dekhe paniyon ki taraf
zamin ke nam khula baadban chhoD gaya
uqab ko thi gharaz faKHta pakaDne se
jo gir gai to yunhi nim-jaan chhoD gaya
na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai
ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya
aqab mein gahra samundar hai samne jangal
kis intiha pe mera mehrban chhoD gaya
Ghazal
Tarash kar mere bazu uDan chhoD gaya
Parveen Shakir