اردو हिंदी
Taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai | Shaahi Shayari
taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

Ghazal

Taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

Wamiq Jaunpuri

;

taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai
padash us ki husn ka pindar hi to hai

kya puchhte ho mera fasana naya nahin
kya dekhte ho ishq sar-e-dar hi to hai

band-e-qaba chaTakta hua ghuncha-e-gulab
pahlu-e-yar nikhat-e-gulzar hi to hai

ham-saegi mein us ki hai kya lutf in dinon
lekin ye lutf-e-saya-e-diwar hi to hai

ai baghban ba-nam-e-bahaaran na chheD use
gulzar mein muhafiz-e-gul KHar hi to hai

saz-e-hayat ham-nafaso KHub hai magar
kab TuT jae sans ka ek tar hi to hai

main tang hun sukun se ab iztirab de
be-intiha sukun bhi aazar hi to hai

KHud jis mein kuchh na paya na auron ko kuchh diya
fil-asl aisi zindagi bekar hi to hai