taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake
taslim hum mutabiq-e-qismat na kar sake
jin ko talash manzil-e-isnaniyat ki thi
gumrah un ko ahl-e-siyasat na kar sake
tujh pe ki juThe hain ye sabhi lafz KHalq ke
hum fash apni pak mohabbat na kar sake
hum aariyon se unko bachate rahe magar
wo aandhiyon se apni hifazat na kar sake
ek lau hue KHayal to kuchh raushni hui
jab tak sharar the chaara-e-zulmat na kar sake
tufan zalzala kabhi sailab aa gaya
pur-amn to KHuda bhi hukumat na kar sake
samjha ki tum bhi dekh lo 'jaanib' jahan ko
waise ye kaam isa se hazrat na kar sake
Ghazal
Taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake
Mahesh Janib