taqsim tazkire ko main kaise raqam karun
tanhaiyon mein baiThun ki aankhon ko nam karun
hirs-o-hawas ke sath bhi fani hai zindagi
kya is ke waste koi saman baham karun
baDhne laga hai silsila-e-etimad phir
is silsile ko aur baDhaun ki kam karun
tu phir se aa gaya hai meri zindagi mein dost
is baat ka main lutf uThaun ki gham karun
maqsad hai mere samne apni shanaKHt ka
pamal raston ko main kyun ham-qadam karun
Ghazal
Taqsim tazkire ko main kaise raqam karun
Pawan Kumar